Sunday, July 17, 2011

Darr tha hun Kyun

Is duniya se darr tha hun kyun main,
Isha e mohabbat ko izhaar karne se.
kashmaskash ki zindagi jeeta hun kyun,
Kya zindagi jeene se darr tha hun main..

Aaj na jaane kyun ye ehsaas muje hua,
kalam se likhne daastan baitha hun main
Ruh main ghulte hue pyaar ko jaana hun main,
Khudko paane se darr tha hun kyun main...

Ho naraaz duniya mujse, kehne se darr tha hun kyun main,
khulke soch apna kehna ko chahta hun main
Bandishe kyun hai is mann ko
Darmiyaan todne se darr tha kyun main...

Phir laut ke aayega na ye pal
is pal ko jeene se darr tha kyun main
Taqdeer mohabbat ka anjaam kya hoga
usse soch ke jhuktha hun kyun main....

Maaf karna khuda mere
usuloon se bada rishtha nibana hai
khuda se sach kehne se darr tha hun kyun mein
zindagi jeene se darr tha hun kyun mein

Tuesday, February 8, 2011

Darr Lagtha hai

Kuch kehana chahte hai tumse
magar darr lagtha hai ki tum bura maan jaoge..
har lamha us lamhe ka intezaar mein hai
ki kehde tume hum sab dil ki baat

Na jaane kyun himmat nai juta paate
ki keh deh tum har kuch
kuch kehana chahte hai tumse
magar darr lagtha hai ki tum bura maan jaoge

Ehsaas dilaana chahte hai tume
ki hum woh har khushi de sakenge tumko
magar tok tha hai dil ye mera
zaara sa tehar jaao woh rut toh nai jaegi

Kuch kehana chahte hai tumse
magar darr lagtha hai ki tum bura maan jaoge

Rishta ye kaisi ban gayi tumse
tarazoo pe khud ko thol te hai hum
ek taraf hum khud ko bech the hai
ki dusri taraf kharidthe ho tum

Kyun hua hai kissa shuru
na jaane kab shuru hui
hoton se dil ki baat nikli bhi nai
shayad aapke dil tak dastak bhi hui


Kuch kehana chahte hai tumse
magar darr lagtha hai ki tum bura maan jaoge

Jal jaata hun bewaafai ki khauff mein
kahin aap daga toh nai doghe
kehne se itarte hai tumse
kahin khafa toh nai hogi


Kaash bol paate tumse
kitni shiddat se pyaar karthe hai tume
Kaash bol paate har woh khwaish meri
kitne saajaye rakhe hai aap k liye

Kuch kehana chahte hai tumse
magar darr lagtha hai ki tum bura maan jaoge

Tuesday, June 22, 2010

Do Raha

Its 215 AM ..23rd june.. while coming into office after a chai break completing my 14th hour in office...

Aise modh par aake rukhi hai zindagi
Jahan do raha hai chunne ke liye
Ek hai meri manzil ke taraf,
aur ek uske mehfil ke liye..

Chunu bhi to kisko chunu main..
Aakhir Anjaam hai wahin
Manzil ho ya uski mehfil
Magar humsafar nai koi

Ro padi zindagi meri aake aise modh pe
kya mein khudgazr toh nai
Chunu kyun mein in rahon mein koi ek
Jab ki dono hai humdum meri

Khush hui zindagi aaj meri
jab chuna nai mein koi rahan in mein
Mein kaha aey pagal zindagi
Aakhir tu hi hai humsafar meri

Wednesday, December 30, 2009

Alfaaz kam padh gayein!!!!

Alfaaz kam padh gayein!!!!

Haan... Kuch dino se hum kuch tanha ho gayein... Kuch lamho mein yun hi kho gayein.. Dhund nai paa rahein khud ko..Talaash us khuda ki kar rahein..

Yaad toh beshumaar aa raha hai.. Dil toh bhar ke aa raha hai.. Tadap raha hai dil bekhadar... Aashiyana hai is khadar... Dil tadap raha hai bekhadar...

Apne aap ko bahut hi akela paa raha hun.. isliye to bheed mein kho jaane ki koshish kar raha hun... Bheed mein bhi itni akela khud ko paa raha hun... Dekho kitne akela khudko paa raha hun...

Aaj na jaane aise mod pe khada hun, na chahun aise rah kabhi, kyun khuda ne mere khilaaf hai,
apni haathon ki lakeeron ko mitana chahta hun

Kabhi na maanga tha aisa aashiyana, jiska maqsad tha tukarana, bewaafi ka nai yahan pe sawaal, hai bas pyaar pe sawaal..

Roke ashq bhi mere gham me dubh gaye, aankhen ab bhar aayengi kyun, kabhi raha tha inme pyaar ka nasha, ab jhapak ne se bhi darr the hai kyun

Kya pyaar kam ho gaya, ya hai saath nibhane ka shaq , manzil toh zaroor haasil hogi, agar tum bharosa rakho ab..

umeed hai ab bhi zindagi pe... Kushiyan Gham ke aagan mein phir khil jayegi.... umeed hai tum pe, umeed hai hum pe...

Friday, November 27, 2009

Likhna chahta hun magar....

Few days back while i returning from my hometown i just of forwarding some nice messages to my FRIENDS.... so did i.... inturn i got a return message from one of them saying.... why did u stop writing shayaris.... i said.. aisa kuch nai... us lamha ka intezaar hai... jab mein phir se pyaar ishq mohabbat mood mein aaun... he he..

just check the below lines which i replied to that friend....

Likhna chahta hun magar, alfaaz saath nai dete
Dard ko khushi mein badalna chahta hun magar, zindagi mauka nai deti
Ladun bhi kisse... Khud main apna saath nai deta...
Likhna chahta hun magar....

So .. somewhere i feel... i m getting back things in position...

feeling i m getting stable... returning to where i was...
it feels good when i feel things happening around are good...

so... expecting that i would start again...

Monday, October 12, 2009

Koi diwana kehta hai, koi pagal samajhta hai

Koi diwana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
Magar dharti ki baichani ko bas badal samajhta hai.
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai,
Yeh tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai.

Mohabbat ek ehsason ki pawan si kahani hai,
Kabhi kabira diwana tha, kabhi mira diwani hai.
Yahan sab log kahte hain meri aankhon mein ansoon hain,
Jo tu samjhe to moti hai, jo na samjhe to pani hai.

Samandar pir ka andar hai lekin ro nahin sakta,
Yeh ansoon pyar ka moti hai, isko kho nahin sakta.

Meri chahat ko dulhan tu bana lena, magar sun le,
Jo mera ho nahin paya, woh tera ho nahin sakta.

Bhramar koi kumudini par machal baitha to hungama,
humaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama.
Abhi tak dhoob kar sunte the sab kissa mohabbat ka,
Main kisse ko haqiqat mein badal baitha to hungama

-- By Dr. Kumar Vishvas

Tuesday, September 22, 2009

Hadh tak

Kisiko koi hadh se badhkar pyaar karna mushkhil hai
Kisiko kuch hadh tak pyaar karna, pyaar hi nai... :(