Sunday, July 17, 2011

Darr tha hun Kyun

Is duniya se darr tha hun kyun main,
Isha e mohabbat ko izhaar karne se.
kashmaskash ki zindagi jeeta hun kyun,
Kya zindagi jeene se darr tha hun main..

Aaj na jaane kyun ye ehsaas muje hua,
kalam se likhne daastan baitha hun main
Ruh main ghulte hue pyaar ko jaana hun main,
Khudko paane se darr tha hun kyun main...

Ho naraaz duniya mujse, kehne se darr tha hun kyun main,
khulke soch apna kehna ko chahta hun main
Bandishe kyun hai is mann ko
Darmiyaan todne se darr tha kyun main...

Phir laut ke aayega na ye pal
is pal ko jeene se darr tha kyun main
Taqdeer mohabbat ka anjaam kya hoga
usse soch ke jhuktha hun kyun main....

Maaf karna khuda mere
usuloon se bada rishtha nibana hai
khuda se sach kehne se darr tha hun kyun mein
zindagi jeene se darr tha hun kyun mein

1 comment:

Vivek said...

Deep.. but nice.. I would have made fun saying darr ke aage jet hai.. but I know what you mean.. kaash hum apne darr khulke bol paate..