Saturday, April 4, 2009

Woh mehak

woh mehak aaj bhi hai meri saanson mein,

woh kasak aaj bhi meri aahoon mein,

na khabar hai is duniya ki hume,

woh kashish hai aaj bhi aapke liye

Chaha tha humne aapko

humne chaha tha aapko is kadar,

kiya tha humne pyaar beshumaar,

aap ne hume kaha zindagi jiyo,

jab khud zindagi hume chod ke chala gaya


ho meri har khushi tum,

aarzoo ho tum mera,

ishq karenge hum itna,

dard bhi meeta lagega


na chaha hai kisko itna,

na chahege itna kabhi,

itna chahte hain tumko sanam,

khud ko bhi chaha na itna kabhi


ye aasoon toh dikthe nai aapko,

dikhe toh woh lakirein aasoon ke,

humne to bharosa hi chod diya is duniya ka,

haathon ki lakir bhi mith gayi humari kismat pe


kya kahun usse,

bewafa toh woh nai,

gila toh usse nai,

khud humne hi chuna tha is raha ko

Na jaane kaunse mod pe hum hai aaye


A pool wouldn't be big enough for the tears i shed...

...Because it's you, i will let you blame it all on me.