Wednesday, December 30, 2009

Alfaaz kam padh gayein!!!!

Alfaaz kam padh gayein!!!!

Haan... Kuch dino se hum kuch tanha ho gayein... Kuch lamho mein yun hi kho gayein.. Dhund nai paa rahein khud ko..Talaash us khuda ki kar rahein..

Yaad toh beshumaar aa raha hai.. Dil toh bhar ke aa raha hai.. Tadap raha hai dil bekhadar... Aashiyana hai is khadar... Dil tadap raha hai bekhadar...

Apne aap ko bahut hi akela paa raha hun.. isliye to bheed mein kho jaane ki koshish kar raha hun... Bheed mein bhi itni akela khud ko paa raha hun... Dekho kitne akela khudko paa raha hun...

Aaj na jaane aise mod pe khada hun, na chahun aise rah kabhi, kyun khuda ne mere khilaaf hai,
apni haathon ki lakeeron ko mitana chahta hun

Kabhi na maanga tha aisa aashiyana, jiska maqsad tha tukarana, bewaafi ka nai yahan pe sawaal, hai bas pyaar pe sawaal..

Roke ashq bhi mere gham me dubh gaye, aankhen ab bhar aayengi kyun, kabhi raha tha inme pyaar ka nasha, ab jhapak ne se bhi darr the hai kyun

Kya pyaar kam ho gaya, ya hai saath nibhane ka shaq , manzil toh zaroor haasil hogi, agar tum bharosa rakho ab..

umeed hai ab bhi zindagi pe... Kushiyan Gham ke aagan mein phir khil jayegi.... umeed hai tum pe, umeed hai hum pe...