Tuesday, June 22, 2010

Do Raha

Its 215 AM ..23rd june.. while coming into office after a chai break completing my 14th hour in office...

Aise modh par aake rukhi hai zindagi
Jahan do raha hai chunne ke liye
Ek hai meri manzil ke taraf,
aur ek uske mehfil ke liye..

Chunu bhi to kisko chunu main..
Aakhir Anjaam hai wahin
Manzil ho ya uski mehfil
Magar humsafar nai koi

Ro padi zindagi meri aake aise modh pe
kya mein khudgazr toh nai
Chunu kyun mein in rahon mein koi ek
Jab ki dono hai humdum meri

Khush hui zindagi aaj meri
jab chuna nai mein koi rahan in mein
Mein kaha aey pagal zindagi
Aakhir tu hi hai humsafar meri

3 comments:

lokeshg said...

khush hai teri zindagi aaj,
kyunki banayi khud tune apni raah hai,
be-jhijhak aage badh apne iss raah mein,
aur dekh ... teri manzil aur uski mehfil,
dono mil rahe hain teri iss raah pe

Pratibha said...
This comment has been removed by the author.
Sowmya said...

ek shayarana nagm hain,
Isse Tharazoo mein na tholiye...
Ek Shayrana Nagm hain isse tharazoo Mein na tholiye...
zubaan tho zariyaan hain dil ki gehrahiyon ka....
In Gehrahiyon koi kheemat na lagayiye...
Nice!!! Keep Writing :)