Monday, October 12, 2009

Koi diwana kehta hai, koi pagal samajhta hai

Koi diwana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
Magar dharti ki baichani ko bas badal samajhta hai.
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai,
Yeh tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai.

Mohabbat ek ehsason ki pawan si kahani hai,
Kabhi kabira diwana tha, kabhi mira diwani hai.
Yahan sab log kahte hain meri aankhon mein ansoon hain,
Jo tu samjhe to moti hai, jo na samjhe to pani hai.

Samandar pir ka andar hai lekin ro nahin sakta,
Yeh ansoon pyar ka moti hai, isko kho nahin sakta.

Meri chahat ko dulhan tu bana lena, magar sun le,
Jo mera ho nahin paya, woh tera ho nahin sakta.

Bhramar koi kumudini par machal baitha to hungama,
humaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama.
Abhi tak dhoob kar sunte the sab kissa mohabbat ka,
Main kisse ko haqiqat mein badal baitha to hungama

-- By Dr. Kumar Vishvas

Tuesday, September 22, 2009

Hadh tak

Kisiko koi hadh se badhkar pyaar karna mushkhil hai
Kisiko kuch hadh tak pyaar karna, pyaar hi nai... :(

Saturday, April 4, 2009

Woh mehak

woh mehak aaj bhi hai meri saanson mein,

woh kasak aaj bhi meri aahoon mein,

na khabar hai is duniya ki hume,

woh kashish hai aaj bhi aapke liye

Chaha tha humne aapko

humne chaha tha aapko is kadar,

kiya tha humne pyaar beshumaar,

aap ne hume kaha zindagi jiyo,

jab khud zindagi hume chod ke chala gaya


ho meri har khushi tum,

aarzoo ho tum mera,

ishq karenge hum itna,

dard bhi meeta lagega


na chaha hai kisko itna,

na chahege itna kabhi,

itna chahte hain tumko sanam,

khud ko bhi chaha na itna kabhi


ye aasoon toh dikthe nai aapko,

dikhe toh woh lakirein aasoon ke,

humne to bharosa hi chod diya is duniya ka,

haathon ki lakir bhi mith gayi humari kismat pe


kya kahun usse,

bewafa toh woh nai,

gila toh usse nai,

khud humne hi chuna tha is raha ko

Na jaane kaunse mod pe hum hai aaye


A pool wouldn't be big enough for the tears i shed...

...Because it's you, i will let you blame it all on me.

Saturday, October 11, 2008

Ye kaisa rishta hai

Ye kaisa rishta hai
Hum tumse na kehapaye
Ye dil ka rishta hai…….

Hum tumse jab mile
Dil me jagi umang
Ye kaisa rishta hai……

Dil ye bhi jaane na
Pyaar tumse hai jaane ja
Ye kaisa rishta hai…….

Ye kaisa ehsaas hai
Pehli baar jo hua
Ye kaisa rishta hai…….

Pyaar ka pehla kadam
Pehli baar badaya hai
Ye kaisa rishta hai…….

KEH DUN TUME

KEH DUN TUME
KE TUMSE PYAAR HAI,
KEH PAYUN NA
YE KAISA HAAL HAI

KAISI YE ULJAN
KAISA YE JAAL HAI,

DUR HO KE TUM BHI
KITNE PAAS HO
HAI KYA HAI YE,
NA TUMKO NA HUMKO HAI KHABAR